Thursday, November 5, 2009

Saath Me Dungi




Us raat zindagi se mulaqat ho gayi

Thodi hi sahi par baat ho gayi

Poocha jo maine kyon tanhai ko sang lati ho

Kyon dil ke tukde kar ke, fir hasna sikhati ho

Keh baithi wo mujhse kar lo kuch bhi tum chahe…saath main dungi….

Tanhaiyo Ki Mehfil Saja Lo.... Saath Main Dungi

Rishto Ki Dor Bana Lo... Bandh Main Dungi

Yaaro Ki Kami Na Kal Thi Na Aaj Hai

Tum Pukar Lo, Sada Saath Main Dungi

Un Kali Andheri Raato Me Jab Tanha Jaagte Ho

Keh Do, Bankar Shama Roshni Tumhe Main Dungi

Ab Bhi Na Behle Jo Ji Tumhara

Bula Lo, Tumhari Jagah Ro Main Dungi

Kahi Isi Kash-M-Kash Me Beet Na Jaaye Umr Saari

Baat Tumhari Dil Ki, Tumhe Bata Main Dungi

Dekho Wo Mali Phulo Se Kar Raha Baat Hai...

Unki Surbhi Chura Kar Tumhe La Main Dungi

Na Dikhe Jo Kinara Koi Saagar Ke Bich

Ubharungi Tumhe, Saahil Ka Sahara Main Dungi

Lehrana Chaho Jo Us Samandar Ki Maujo Ki Tarah

Utho Tumhe Baharo Ka Kinara Main Dungi

Ud Na Chaho Jo Un Patango Ki Tarah Tum Bhi

Jao, Khula Aasmaan Tumhara Tumhe Main Dungi

Na Ruko, Na Thako Tum, Kabhi Baitho Na Haarkar

Jeet Tumhari Hai, Duaye Tumhe Main Dungi

Mudkar Piche Jo Dekhoge Kabhi Us Raah Se

Kadmo Ko Aage Ki Taraf Badhava Main Dungi

…………………………..Badhava Main Dungi......

No comments: