Sunday, May 2, 2010

Haan aisi hi hai ye....



Aankhon ko malte huye, tan ko churate huye uth'ti hai ye
Chhoti bachchi si, kai sapne liye neend se uth'ti hai ye
Bhar lega apni bahon mai koi isko, sochti uth'ti hai ye
Nange paoon, aankhen moonde kamre se nikalti hai ye

Na mile jab tak coffee ka mug, aalsi billi si mandrati hai ye
Kah de koi kuch karne ko, to chillati, fir baith jati hai ye
Mil jaye kisi ka kandha ya god wapas let jati hai ye
Aunghti hai, soti hai, jaagti hai, aise hi mandrati  hai ye

Ab ankhen khuli hain iski, sab ko "good-morning" kahti hai ye
Coffee ke sang energy aati hai isme, aur man mai muskati hai ye
Jane kisko yaad kar , der tak man hi man hansti jati  hai ye
Phir uth'ti hai, khud ko ayine mai dekh aankh marti hai ye

Shuru hota din iska, sabse pahle bhai ko satati hai ye
Fir mamma aur papa ke sang laad-pyar jatati hai  ye
Hiran ki tareh pure ghar mai machalti firti hai ye
Apna bistar samet'te samet'te koi geet gungunati hai ye

Balon ko kholti-bandhti hai, bas pagal si ghoomti hai ye
Padegi mamma ki dant, fir bhi TV khol baith jati hai ye
Channel surfing karti hai, na jaane kya dhoondhti hai ye
Pada hai doodh, dekhti hai, maa aayi, gatak jati hai ye

Mobile uthati, sms aur calls check karti, muh sujati hai ye
Chipak jati fon se, na jane kisse batiyati, kisko pakati hai ye
Khil-khila ke hansti hain, haath-pe-haath mar ke hansti hai ye
Na jane kahan se aisi masti,  aisi khushi le aati hai ye

Anmane man se uth'ti hai, nahane jati, bahut der lagati hai ye
Kamre mai aati, khud ho niharti, muskati, khush ho jati hai ye
Janmon ke bhookhon si, fruits pe toot padti, moti hoti jati hai ye
Chipak gayi net pe, mail dekhti, doston ko scrap marti hai ye

Time hua, bhagti hai, nashta bhoolti, maa ke dant khati hai ye
Bijli ki furti se taiyar hoti, ghar se office ke liye bhagti hai ye
Raste bhar do-char calls marti, din ka schedule banati hai ye
Busy ho jati pure din, yaad na dilao to lunch bhool jati hai ye

 Pahar beet'te jate hain, kaam mai ulajhti jati hai ye
Rah-rah kar kisi ke fon aur sms ki aas dekhti hai ye
Sham hote-hote thakan se toot'ne lag jaati hai ye
Battery hoti hai down iski, chai ke liye machalti hai ye

Ghar aati, aur seedhe kamre mai jaa pad jaati hai ye
Aankh moond, kisi sapne mai kho jati, muskati hai ye
Di kisi ne aawaz, uth'ti hai, sab ke beech ja baith'ti hai ye
Hansti hai, khil-khilati hai, sab ka man bahlati hai ye

Dinner karti hai, TV dekhti hai, sare din ke gap abhi kar leti hai
Raat hoti jati hai, der se padhne-kuch kaam karne baith'ti hai ye
Koi roko na isko, toko na isko, apni duniya mai khone lagti hai ye
Laptop band karti, kitaben samet'ti, adh-leti si ho jati hai ye

Aankhen moondti, kisko dhondhti, bahen phailaye let jaati hai ye
Na jane kaisi Pagli hai, subha se raat talak aise hi muskati hai ye
Neend ayi karwaten badalti hai, kisi khushboo si mahakti hai ye
Gudiya si hai, har din sapno se jagti sapno mai kho jeeti hai ye...


6 comments:

Preethy said...

good good...it was a cute one...!!

Unknown said...

twas class!! best lyns wer Anmane man se uth'ti hai, nahane jati, bahut der lagati hai ye
Kamre mai aati, khud ho niharti, muskati, khush ho jati hai ye
Janmon ke bhookhon si, fruits pe toot padti, moti hoti jati hai ye
Chipak gayi net pe, mail dekhti, doston ko scrap marti hai ye
... gr8 lines gal... padh k mazaa aa gaya re..

Unknown said...

awesome yaar...!!!very cute written, aise he hai meri Di...!!!

Anonymous said...

have you written this ??
its amazing :). simply awesome !!

Rashmi Nagpal said...

touching...simply superb ..... :)

Madhu said...

Thanks Ravi and Rashmi...