Monday, September 14, 2009

Khaamoshi ke baad



samet lete hain jo khud ko,
zara se faila.av, ke baad;
dar, ki beh na jaen ye moti
fir kisi saila.ab, ke saath

mom ho jaati hai sham.ma-
raat bhar jalne ke baad;
ki hum bhi pighalte rahe
uski tanhaayi.yon ke saath

fanaa ho jaate jo khwaab
neend se jagne ke baad;
wo, raat bhar kuch is tarah
uljhnae, dasne ke baad


sehmi khadi ye arzoo hain
teri usi,berukhi ke baad;
ki, thami huyi si dhadkane
ab tere rehguzar ke saath

Lafz khamosh hain fir us
neem si khaamoshi ke baad;
goonjte hain sannate jaise,
maut ki sargoshi ke baad

No comments: