Saturday, October 31, 2009

Bhari Mehfil Me...


Bhari mehfil me tanha rehna sikha diya

Apke pyar ne duniya ko jhootha kehna sikha diya

Kabhi jo shor me jite the hum

Aaj sannatta bhi shor sa lagta hai

Jo aadat thi hame duniya ko

Apne nazariye se dekhne ki

Apke pyar ne har nazariya dikha diya

Hame raho ki thokro se bachna sikha diya

Jaha lagti thi thokar, tanha girte the hum

Aapne hath dekar fir uthna sikha diya

Meri zindagi ke maayne kho se gaye the

Aapne mujhe jina sikha diya

Kisi khushi ya gam ka ehsaas nahi ab to

Sab kuch zindagi me chupchap sehna sikha diya

Apne ghavo par marham lagana sikha diya…

Sanam, aapne mujhe hasna sikha diya….

Shararat Na Hoti....



Shararat na hoti, shikayat na hoti

Naino me kisi ke nazakat na hoti

Na hoti beqarari, na hote hum tanha

Jo jahan me kambakht ye mohabbat na hoti

Na hote ye sapne, ye khwabo ki duniya

Kisi ko chahat ki tamanna na hoti

Na zulfo ki chaya na fulo ki khushboo

Yaado me unki ye rate na kat’ti

Jo na hoti mohabbat, ye aansu na hote

Dil bhi na khota, aaj tanha na rota

Majnu si apni ye haalat na hoti

To kambakht ye mohabbat na hoti…

Friday, October 30, 2009

jab kisi ka intezaar hota hai...



kehte hai jab kisi ka intezaar hota hai
har lamha beqaraar hota hai
waqt bhi jaise tham sa jaata hai
dil me anjaana ek sawaal hota hai
aankho me andekhe sapne
labo pe bas ek hi naam hota hai
darmiyaan shishe ki deewar bhi
faaslaa aasmaan hota hai
tasavvur me padhe un panno me
bhi zikr usi ka baar baar hota hai
jab kisi ka intezaar hota hai
har lamha yuhi beqraar hota hai....

Chalenge Sath Hum...





kahaa tha chalenge saath hum...

fir bhi main aaj tanha si hun...

kitne kadam akele chale hain in raaho pe....

kitne ab bhi baki hain....


jab chubhan si hoti hai seene me,
tanhayi paakar apne liye...
tees si uth'ti hai dil me...
sab kuch tuta hua sa lagta hai....

haan kai khwab dekhe the maine
aur kai saari baato ko dil se lagaye baithi thi....
pratibimb tha sirf aur kuch nahi
aaj aaina nahi to kahan dekhu us sab ko....

koi aur khwab sajane ki himmat nahi
na hi hai himmat aaj aage badhne ki..
yahi hun main aur yahi reh jaungi...
ki tuta hai dil...aur aawaaz nahi sunai di hai kisi ko...

rone ki bhi kshamata nahi hain mujhme
ki aansu saare such gaye hian mere...
bas ek tuta hua dil hai zindagi ko sambhale...
aur kai tute dhaage, is banjar dil ko sambhale....

Friday, October 23, 2009

bikhre hue tukde...




Bikhre hue tukdo ko aaj chun rahi hun

Fir un sapno ko bun rahi hun

Jo adhure reh gaye the kabhi

Aj fir un geeto ko sun rahi hun

Najaane kaisi kashish hai un lamho ki

Jo khinch rahi hai apni or

Kis dor se jane pal pal

Bandhti ja rahi hun

Nazre thi wo jo bindh gayi mujhe

Aaj khud hi se anjaan hoti jaa rahi hun